सोमवार, 2 अप्रैल 2018

Huawei launches world’s first triple rear camera phone, P20 Pro; coming soon to India - Details in Hindi

Huawei apne naye smartphones P20 aur P20 Pro ko jald hi India me launch krne wala hai. Ye model Huawei P10 ke hi upgraded version hai.  In smartphones me Artificial Intelligence Based Camera features diye gye hai. Ummid jtayi jaa rhi hai ki company apne naye smartphones ki bikri flipkart ke dwara kregi.
Filhaal India me Huawei P20 aur P20 Pro ki prices ke baare me koi jaankari saamne nhi aayi hai. Haalaki Europe me P20 ki price EUR 649 ( approx 52,000 INR) aur P20 Pro ki EUR 899 (approx 72,300) hai.

Huawei P20 aur P20 Pro Ke Specifications
Ye dono dual sim smartphones hai jo Android 8.1 Oreo Based EMUI par kaam krte hai. Ye Google ARCore aur Customised Google Assistant ko bhi support krte hai. Dono Smartphones me Huawei HiSilicon Kirin 970 Procesor diya gya hai. Huawei P20 me 4 GB RAM hai aur P20 Pro me 6GB RAM hai. Dono ki Internal Memory 128 GB hai. Dono hi smartphones me Dolby Atmos aur Dolby AC-4 Audio ke saath Stereo Speaker diye gye hai.

Huawaii P20 mein 5.8-inch full-hd+ (1080x2244 pixel) RGBW display diya gaya hai. Isme home button bhi diya gaya hai jisme Fingerprint Sensor bhi lga hua hai. Saath hi isme Gesture Support bhi diya gaya hai. P20 pro ki baat kare to isme 6.1-inch full-hd+ (1080x2240 pixel) OLED display diya gaya hai.

Vahi Agar In dono ki Battery dekhi jaaye to P20 3400 mAh aur P20 Pro ki 4000 mAh hai. Camera ki baat kare to Huawai P20 ke Rear mein dual Dual setup diya gaya hai. Isme 12 MP aur 20 MP ke 2 Cameras maujood hain. Company ke daave ke mutaabik ye dono milakar low light mein aachi photo click krte hai. Vaheen Huawai P20 ke front mein 24.8 MP ka Camera diya gaya hai. Isme 3d Portrait lighting effect bhi diya gya hai.


Huawei launches world’s first triple rear camera phone
Huawei launches world’s first triple rear camera phone

Doosri taraf baat karen Huawai P20 Pro ki to iske baack mein 3 Cameras hai. Iska top most camera ek tele photo lens vaala hai joki 8 MP ka hai aur isme 3x optical zoom di gayi hai. Doosara Camera 40 MP (RGB) ka hai aur teesra Camara 20 MP (Monochrome) ka hai. In Cameras mein ISO 102400 tak light sensitive di gayi hai. Company ka daava hai ki iss smartphone me sbse powerful zoom hai, isme 5x Hybrid zoom aur 10x digital zoom diya dya hai.

In dono smartphones me photography ko bahetar bnane ke liye Artificial Intelligence Support diya gya hai.

0 comments:

एक टिप्पणी भेजें

For Any Doubt and Any Further query about any information regarding this post. Comment on my Post. I will reply with in 3 hours.

Join With Us On YouTube

Featured Post

Whatsapp New Feature 2018 | Whatsapp Data Download Option - Details in Hindi

WhatsApp Messenger के बारे में तो सब जानते ही है, दुनिया का सबसे ज़्यादा इस्तेमाल किये जाने वाला Instant Message Sender App में कुछ नया अपडे...

Popular Posts

About Us

Founder & Author: My Name is Ishant Lalwani and I am from New Delhi, India. I am 18 year old boy. I am from Commerce Stream. I love computer Science very much. That's why i make this blog. In this blog I regularly use to write new
हमारे बारे में पढने के लिया .....क्लिक करें

Are you satisfied after visiting our blog ?