रविवार, 1 अप्रैल 2018

Freelancing Se Kaise Ghar Baithe Paise Kmaye - Details in Hindi

Aaj ke time me jyadatar log ghar me baithkar kaam karna pasand karte hai, inme se kuch logo ki family problems hoti hai aur kuch logo ki apni pasand. In sab logo ke liye Freelancing ek aacha option hai. To aaj ham aapko ye btayenge ki freelancing kya hota hai aur ham isse kaise ghar me baithker paise kma skte hai. Aur hm aapko 5 application aur websites bhi Freelancing ke upar btayenge jinse aapko bahut madad milegi. Hmne isme vo applications aur websites ke baare me btaya hai jinhe Google Play store par aachi-aachi rating mili hai aur users ne feedback bhi aache diye hai.

Freelancing kya hai
Bahut logo ko freelancing ke baare me pta nhi hai. Maanlo aapka kisi chiz me khaphi talent hai jaise photoshop, writing, painting,  music, dancing, computer expert, etc aur bahut si chizo me. To kisi ko in sab me se kuch karwana hai, maanlo ek photo bnwani hai to app uske kaam ko kr skte hai ghar baithe. Iske badle me vo aapko paise dega. To ise kahete hai Freelancing. Freelancing pe time ki ko limit nhi hai, aap jab chaho isme kaam kr skte ho. Haa, mahenat aapko yaha bhi krni hogi, kyuki bina mahenat ke aapko koi bhi paisa nhi dega. Lekin agar aapne is platform par bahetar kaam kiya to aap 1 ghante ke 50$ se bhi jyada kma skte hai.

Ab internet me kuch websites hai jo in sabhi chizo ki online service leti hai aur badle me aapko paise deti hai. To aapko un websites pe jaake apna account bnana hai jisme aapko apni skills aur apne baare me sab information fill krni hai. Isme aapko apna profile complete rkhna hai aur isme apna asli profile photo rkhna hai jisse logo ko aap par vishvaas ho.
Aur haa ek baat aur, Skill ko chunte sme apni sahi skill hi chune jisme aap perfect ho kyuki isme aapko ek test dena hota hai uske baad hi koi aapko kaam dega.
Freelancing Se Kaise Ghar Baithe Paise Kmaye
Freelancing Se Kaise Ghar Baithe Paise Kmaye

Freelancing ki Top Websites

1. Freelancer - Hire & Find Jobs
Google Play Store par 4.1 rating wale iss app ke jariye app duniya bhar me logo ko kaam de bhi skte hai aur le bhi skte. Ye app users ko premium aur basics subscriptions jaise options bhi deta hai, jisme daava kiya jaata hai ki aapko kaam jld se jld milega aur acchi se acchi kmayi hogi. Ye app Android aur iOS dono par available hai. 

2. Fiverr - Freelance Services 
Google Play Store Par is app ki rating 4.6 hai. IS app me aapko 116 tarah ka kaam milta hai. Ye App aapko request daalne ko kaheta hai, jisme aap apne baare pe jaankaari, jo aap kaam krna chahte hai, vo aap bhar de. Jiske baad jaruratmand party aapse contact krti hai aur budget ke hisaab se aapko fee offer krti hai.

3. Efii - Freelancers Near Me
Ye ek freelancer app hai jo aapko najdik me kaam dene wale se jorne ka daava krta hai. Isme aap bahut tarike ka kaam kr skte hai. Is app me aap sign in krne ke baad aap 'service offer' kr skte hai ya 'service request' kr skte hai. Is app ki rating google play store pr 4.7 hai.

4. Truelancer.com - Search Jobs and Hire Freelancers
Google Play Store par 4.4 rating wale ye aap daav akrta hai aap yaha kaam dhund bhi skte hai aur kar bhi. Ye app aapke kaam ki payment Paypal, Paytm jaise wallets me krta hai. yaha aap kisi ke business ya kisi ke personal kaam ke liye bahut saare work kar skte hai.

5. Freelancer - Hire & Find Jobs
6. Taskkers - Local Freelancers
7. Peopleperhour
8. Upwork
9. Toptal
10. Elance............

Ham aapko bta de ki ham inme se kisi bhi app aur websites ko apni taraf se koi rating nhi de rhe. Google Play Store par inki rating aur feedback se hmne ye list tayaar ki hai. Ham aapko ye sujhaav denge ki aap pahele har websites ya app ki terms and conditions jarur aaraam se aur dhyaan se baith kr pare.


0 comments:

एक टिप्पणी भेजें

For Any Doubt and Any Further query about any information regarding this post. Comment on my Post. I will reply with in 3 hours.

Join With Us On YouTube

Featured Post

Whatsapp New Feature 2018 | Whatsapp Data Download Option - Details in Hindi

WhatsApp Messenger के बारे में तो सब जानते ही है, दुनिया का सबसे ज़्यादा इस्तेमाल किये जाने वाला Instant Message Sender App में कुछ नया अपडे...

Popular Posts

About Us

Founder & Author: My Name is Ishant Lalwani and I am from New Delhi, India. I am 18 year old boy. I am from Commerce Stream. I love computer Science very much. That's why i make this blog. In this blog I regularly use to write new
हमारे बारे में पढने के लिया .....क्लिक करें

Are you satisfied after visiting our blog ?