गुरुवार, 29 मार्च 2018

TOP 5 BEST SELFIE CAMERA MOBILE PHONES UNDER 15000 (March 2018) - Details in Hindi

Doston, Aaj ke hum apke liye laaye hai sabse acche Selfie Camera Smartphones jo 15000 ke neeche available hai. Doston, agar app market mein hai phone kharidne ke liye jiska front camera bahut accha ho, toh ye article jaroor dekhiye. Humne ye sab phones test kiye hue hai aur saath mein inke saath bahut saare photo bhi nikale hue hai aur fir ye list banaayi hai. Kya aap humare list ke saath sehmat hai? jaroor humein comments section mein bataayen.

Dosto in Selfie Camera Smartphone ki list bnane me hmne sbse jyada dhyaan diya Selfie Camera ka. Sbse important aspect jo tha vo tha Selfie Camera ka. Phir uske baad me uska RAM kaisa hai, Screen kaisa hai, aur baaki sab specifications bhi hmne dekhe aur us hisaab se hmne ye list bnayi hai.


1. Redmi Note 5 Pro
Dosto hmne iske saath bahut saare photo khiche aur ye one of the best selfie smartphone hai jo Rs15,000 ke niche aata hai. 20 MP ka iska front camera hai, Selfie Light hai, beautyfi mode hai isme, aur isme AI Assistant Selfie aap nikaal skte hai mtlb software apne aap dekhleta hai ki kaun khara hai kya background hai aur ye sab dekh ke vo phir photo khichta hai. Lekin isme ek problem hai, vo ye ki ye khridne me hi nhi aa rha hai kyki iski hafte me ek din hi flag sale hoti hai aur bahut hi jldi ye out of stock ho jaate hai ye phone. To agar aap Lucky honge to aap jarur isko khrid skte hai. Ye hai hmari list me No.1 selfie camera smartphne under INR 15,000.

Buy Redmi Note 5 Pro 

2. Honor 9 Lite
Aur dosto doose no. pe aata hai hmara Honor 9 Lite. Ji haa hmare list me yahi phone hai jisme 2 front cameras hai. Isme 13 MP primary front aur 2MP ka jo deck sense krta hai vo secondary lens. To ye phone bahut hi aache photos nikaalta hai. Piche ka jo bokeh  effect hoga vo bahut aacha hoga bahut smooth hoga kyuki hardware level bokeh effects deta hai. Aur saath me isme beautify mode hai, bahut saare doosre features hai, Kirin processor aata hai, 4 GB RAM 64 GB internal storage, baaki specifications bhi bhut aache hai. To agar aapko dual camrea wala selfie smartphone chahie to aap Honor 9 lite dekh skte hai.

Buy Honor 9 Lite


best selfie phones
TOP 5 BEST SELFIE SMARTPHONES

3. Samsung Galaxy On Max 
Isme 13MP (f/1.9) ka Front Camera hai aur front me selfie flash bhi hai. Is smartphone se bahut low light me bhi jyada Grains nhi aayenge, aapke photo jo hai vo clear aayenge. Iska jo camera haio vo low lights me definitely sbse aacha photo khichega. Aur aapko to pta hai Samsung ke phone generally camera ke liye aache hote hai. Isme 4GB RAM 32 GB storage overall baaki ki specifications bhi thik thaak hai aache hai. Agar aapko aache low light me selfie khichne hai to aap isko dekh skte hai.

Buy Samsung Galaxy On Max

4. Redmi Y1
Jb Xiaomi ne isko launch kiya tha to selfie smartphone ke liye hi lauch kiya tha sbse bara unka highlight yahi hai, Fornt Camera. Isme hai 16 MP ka front Camera with Selfie Light aur saath me Qualcomm Snapdragon processor, 4GB RAM, 64GB storage aur battery bhi iski aachi hai. Overall isse photos bahut aache aate hai to isliye 4 no. pe hmari list me aat ahia Redmi Y1.

Buy Redmi Y1

5. Infinix Hot S3 
Dosto iska bahut aacha selfie camera hai kyuki isme hai 20 MP ka front camera with dual LED Light. Saath me isme Beauty Mode hai, bahut saare alag alag features hai. 13 MP iska Rear Camera hai. Ye smartphone hai Selfie Centric Phone. Isme 18 : 9 aspect ratio aata hai, 3 GB RAM aur 32 GB storage. RAM thora kam hai lekin  selfie camera agar aapko lena hai to aap isko le skte hai. Aur iski price jo hai vo 10,000 ke karib hai to overall this is a great phone for selfie lover ina  low budget.

Buy Infinix Hot S3

For the latest tech news, follow Gadgets Shields and subscribe to our YouTube channel.

0 comments:

एक टिप्पणी भेजें

For Any Doubt and Any Further query about any information regarding this post. Comment on my Post. I will reply with in 3 hours.

Join With Us On YouTube

Featured Post

Whatsapp New Feature 2018 | Whatsapp Data Download Option - Details in Hindi

WhatsApp Messenger के बारे में तो सब जानते ही है, दुनिया का सबसे ज़्यादा इस्तेमाल किये जाने वाला Instant Message Sender App में कुछ नया अपडे...

Popular Posts

About Us

Founder & Author: My Name is Ishant Lalwani and I am from New Delhi, India. I am 18 year old boy. I am from Commerce Stream. I love computer Science very much. That's why i make this blog. In this blog I regularly use to write new
हमारे बारे में पढने के लिया .....क्लिक करें

Are you satisfied after visiting our blog ?